A very romantic poem by Daagh Dehlvi, sung by Shumona Roy Biswas.
The first couplet's a killer :D
Khaatir se ya lihaaz se mein maan to gaya
Jhoothi kasam se aapka eemaan to gaya
Dil leke muft kehte hein kuch kaam ka nahin
Ulti shikaayaten huin, ehsaan to gaya
*Go *naamaabar se khush na hua par hazaar shukr
Mujhko vo mere naam se pehchaan to gaya
Hosh-o-havaas-o-*taab-o-*tavan "Daagh" ja chuke
Ab ham bhi jaane waale hein saamaan to gaya
Go - Although
Namaabar - messenger
Taab - Patience
Tavaan - Strength