A beautiful ghazal by Daagh Dehlvi in Farida Khanum's voice.
*Uzr aane mein bhi hai aur bulaate bhi nahin
*Baais-e-tark-e-mulaaqat bataate bhi nahin
Kya kaha phir to kaho hum nahin sunte teri
Nahin sunte to hum aison ko sunaate bhi nahin
Khoob parda hai ke *chilman se lagen baithe hein
Saaf chupte bhi nahin saamne aate bhi nahin
Ho chuka tark-e-taalluk to *jafaayen kyon hon
Jinko matlab nahin rehta vo sataate bhi nahin
*Ziist se tang ho ae 'Daagh' to jeete kyon ho
Jaan pyaari bhi nahin, jaan se jaate bhi nahin
-Daagh Dehlvi (1831-1905)
*Uzr means Objection
*Baais-e-tark-e-mulaaqat means reason for ending the courtship (Baais=reason, tark=leave,abandon)
*Chilman means A Venetian Blind
*Jafaayen means tyranny of a beloved
*Ziist means Life
1 comment:
Awesome!!
Post a Comment